kismat.
Bulbul tu bohut hain,
gul rayna nahi koi
Bemar hazaron hain
masiha nahi koi.
Kam aye bure waqt mai
aisa nahi koi.
Tum kiya ho zamane mai
kisi ka nahi koi.
Hum ishq mai hai fard tu
hosin mai yakta.
Hum sa bhi nahi ek jo
tum sa nahi koi.
Tum kiya karo qismat hi
agar apni buri ho.
Taqdir ke likhe ko mita,ta nahi koi.
Ghustakhiyaan.
Log kehte hain ke tu ab
bhi khafa hai mujh se.
teri ankhon ne tu kuch
aur kaha hai mujh se.
haaye is waqt ko kosoon
ke dua doon yaroon.
jin ne har dard mera
chin liya hai mujh se.
Dil ka ye hal ke dhar ke
hi chala jata hai.
aisa lagta hai koi jurm
howa hai mujhse se.
kho gaya aj kaha rizq ka
dene wala.
koi roti jo khara mang
raha hai mujh se.
ab mere qatal ki tadbeer
tu karni hogi.
kon sa raz hai tera jo chipa hai mujh se.
Ek Nazar
Nighahon ke samandar ka,
thikana chahate hain.
Hamain Tum se mohabbat
hai, ye batana chahate hain.
Hamain achi nahi lagti,
kisi masoom ki shadabi.
Tumhai apni sansoon mai,
basana chahate hain.
Hamara ghar tu roshan
hai, hamare naam se lekin.
Tumhare naam se jiwan,
sajana chahate hain.
Hamain har hal mai, tum
se aqeeda aur mohabbat hai.
Tumhare pas ane ka, bahana chahate hain.
Narm Lehja.
Narm lehjey me hai talkhi to NIFASAT kesi.
Zehar zam zam me pilao to MILAWAT kesi.
Maalik-e-jaan ye takalluf, ye taraddud kesa.
Jab badan sonp diya hai to IJAZAT kesi.
Main sar-e-aam ye kehta haan Mujrim Hoon tera.
Phir talab karta hai mujh se to WAZAHAT kesi.
kaanch ka dil tha jo toota hai mere seeney me.
hai be'zuban cheez tooti to SHIKAYAT kesi.

0 comments:
Post a Comment